kabhi kisi ko muqammal jahaa.n nahi.n miltaa,
kahi.n zameen, kahee.n aasmaa.n nahi.n miltaa

tamaam shah mein aisaa nahi.n kHuloos naa ho,
jahaa.n umeed ho uski wahaa.n nahi.n miltaa

kahaa.n charaagh jalaaye.n, kahaa.n gulaab rakhe.n
chhate.n to milti hain, lekin makaa.n nahi.n miltaa

Ye kyaa azaab hai sab apne aap mein gum hain,
zabaa.n mili hai magar humzabaa.n nahi.n miltaa

charaagh jalte hi beenaayi bujhne lagti hai,
kHud apne ghar mein hi ghar kaa nishaa.n nahi.n miltaa

Nidaa Faazli

Comments

Popular Posts