Kabhi to mehrbaa.n hokar bulaa le.n,
ye mahwash hum faqeero.n ki du'aa le.n
naa jaane phir ye rut aaye na aaye,
jawaa.n phoolo.n ki kuch khushbu churaa le.n
bahut roye zamaane ke liye hum,
zaraa apne liye aansoo bahaa le.n
hum unko bhoolne waale nahi.n hain,
samajhte hain ghume dauraa.n ki chaale.n
humaari bhi sa.nbhal jaayegi haalat,
wo pahle apni zulfe.n to sa.nbhaale.n
nikalne ki hai wo mahtaab ghar se,
sitaaro.n se kaho nazre.n jhukaa le.n
hum apne raaste par chal rahe hain,
janaabe shaiKh apnaa raastaa le.n
Zamaanaa to yun hi rooTHaa rahegaa,
chalo ''Jaalib'', unhe chalkar manaa le.n
Habeeb Jaalib
ye mahwash hum faqeero.n ki du'aa le.n
naa jaane phir ye rut aaye na aaye,
jawaa.n phoolo.n ki kuch khushbu churaa le.n
bahut roye zamaane ke liye hum,
zaraa apne liye aansoo bahaa le.n
hum unko bhoolne waale nahi.n hain,
samajhte hain ghume dauraa.n ki chaale.n
humaari bhi sa.nbhal jaayegi haalat,
wo pahle apni zulfe.n to sa.nbhaale.n
nikalne ki hai wo mahtaab ghar se,
sitaaro.n se kaho nazre.n jhukaa le.n
hum apne raaste par chal rahe hain,
janaabe shaiKh apnaa raastaa le.n
Zamaanaa to yun hi rooTHaa rahegaa,
chalo ''Jaalib'', unhe chalkar manaa le.n
Habeeb Jaalib
Comments
Post a Comment