Karey Darya Na Pul Mismaar Mere
Abhi Kuch Log Hain Us Paar Mere ..!!

Juda Hun Kab Se Ab Dekh Aaon Ghar Ko
Kahenge Kia Dar o Deewar Mere ...!!

Wahein Sooraj Ki Nazrien Thein Zyada
Jahan They PeD Saayaadaar Mere ..!!


Guzarte Ja Rahey Hain Din Hawa Se
Rahein Zinda Salamat Yaar Mere ..!!

Dareecha Kia Khula Meri Ghazal Ka
Hawaien Le Urrien Asha'aar Mere ..!!
wahi ye shaher hai to shaher waalo,
kahaa.n hain koochaa o baazaar mere

tum apanaa haal-e-mahajoorii sunaao
mujhe to khaa gaye aazaar mere
 
Mahshar Budaayuni

Comments