KHabre tahayyure ishq sun na junoo.n rahaa na pari rahi,
naa to tu rahaa naa to main rahaa jo rahi so be khabri rahi
shahe beKhudi ne ataa kiyaa mujhe libaase barahnagi,
naa khirad ki bakhiyaa gari rahi na junoo.n ki jaamaadari rahi
Chali simte ghaib se kya hawaa ke chaman suroor ka jal gayaa,
magar ek shaakhe nihaale ghum jise dil kahe.n wo hari rahi
wo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskhaaye ishq ka,
ke kitaab aql ki taak par jo dhari thi tyo hi dhari rahi
Siraaj Aurangaabaadi
Comments
Post a Comment