KHaraab e lazzat e deedaar e yaar hum bhi hain

KHaraab e lazzat e deedaar e yaar hum bhi hain,
tire shareek dil e beqaraar hum bhi hain

naa din ko chup hain,naa raato.n ko tiri tarah udaas,
jale hoye to charaagh e mazaar hum bhi hain

umeed e marg hai baaqi to naaumeed nahi.n,
ke apni waz'aa ke umeedwaar hum bhi hai

kisi ki bazm e tarab mein kuch ek sham'aa nahi.n,
hareef gar yai beikHtiyaar hum bhi hain

Idhar bhi deedaa e ibrat nigaah ek nazar,
ke ahd e shauq ki ek yaadgaar hum bhi hain

yahaa.n bhi hai dil e aagaah waqf e lazzat e dard,
kHaraab masti e aish e Khumaar hum bhi hain

hijaab e hosh uThaa ab koi hijaab nahi.n,
kHayaal e yaar se ab hum kinaar hum bhi hain

junoon ne di hume.n raahat wagarnaa aye ''Faani'',
nishaanaaye ilm e rozgaar hum bhi hain

Faani Budaayuni

Comments

Popular Posts