khush jo aaye the, pashemaan gaye,
aye taghaaful tujhe pahchaan gaye
Khoob hai saahibe mahfil ki adaa,
koi bolaa to buraa maan gaye
usko samjhe ke na samjhe lekin,
gardishe dahar tujhe jaan gaye
us jagah aql ne dhoke khaaye,
jis jagah dil tere farmaan gaye
teri ek ek adaa pahchaani,
apni ek ek khataa maan gaye
koi DhaDkan hai na aansoo na umang,
waqt ke saath ye toofaan gaye
Zohraa Nigaah
Comments
Post a Comment