Khush khush dikhayi deta hoon bimar main bhi hoon,

Khush khush dikhayi deta hoon bimar main bhi hoon,
aksar main sochta hoon adakaar main bhi hoon

karta raha hoon apne masail se roz jung,
chote se ek kabile ka sardar main bhi hoon

Mitti ki yeh muratein ye badi ho rahi hain ab,
maula tere karam ka talabgar main bhi hoon

Tinke ki yoon to koi haisiyat nahin magar,
ek dubte hue ka madadgar main bhi hoon

Nadiyon main mat bahao ki is mulk main abhi,
do gaz zamin ka jagirdar to main bhi hoon...

Munawwar Raanaa

Comments

Popular Posts