Koi mausam ho dukh sukh main guzara kaun karta hai
Parindon ki tarah sab kuchh gawara kaun karta hai
Wazeeron se sifarish ki tamanna ham nahi karte
Hamein maloom hai zarre ko tara kaun karta hai
Ye mujh tak aate aate hadse kyun laut jaate hain
Mere bare main socha vichara kaun karta hai
Gharon ki raakh phir dekhenge pehle dekhna ye hai
Gharon ko phoonk dene ka ishara kaun karta hai
Jise duniya kaha jaata hai kothe ki tawayaf hai
Ishara kis ko karti hai nazara kaun karta hai
Raahat Indori
Comments
Post a Comment