Ku ba ku phail gayi baat shanaasaai ki,
usne khushbu ki tarah meri pazeeraai ki
kaise kah doo.n ke mujhe choD diyaa usne,
baat to sach hai magar baat hai ruswaai ki
wo kahi.n bhi gayaa, lauTaa to mere paas aayaabas yehi baat hai achchi mere harjaai ki
teraa pahlu tere dil ki tarah aabaad rahe,
tujhpe guzre naa qayaamat shab e tanhaai ki
usne jalti hui peshaani pe jo haath rakhaa
rooh tak aa gayi taaseer masihaai ki
Parveen Shaakir
Comments
Post a Comment