Laayi hayaat aaye, kazaa le chali chale,
apni khushi se aaye na apni khushi chale

behtar to hai yahi ke na duniyaa se dil lage,
par kyaa kare.n jo kaam na bedil lagi chale

kam honge is bisaat pe hum jaise badqamaar
jo chaal hum chale so nihaayat buri chale

Ho umre khijr bhi to kahenge ba-waqte marg
hum kya rahe yahaan abhi aaye abhi chale

duniyaa ne kiskaa raah e fanaa mein diyaa hai saath,
tum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chale

naazaa.n na ho khirad pe jo honaa hai,wo hi ho
Daanish teri na kuch meri daanishwari chale

Mohammad Ibraaheem ''Zauq''

Comments

Popular Posts