Lag jaa gale se taab ab aye humnashee.n nahi.n,
hai hai, kHudaa ke waaste mat kar ''nahi.n, nahi.n''

us bin jahaan kuch nazar aataa hai aur hi,
goyaa wo aasmaa.n nahi.n wo zamee.n nahi.n

kyaa jaane kyaa wo usmei.n laute hai jis pe dil,
yun aur kyaa jahaan mein koi hasee.n nahi.n

fursat jo paake kahiye kaBHu dard e dil so haay,
wo badgumaa.n kahe hai ke humko yaqee.n nahi.n

hairat hai mujhko kyunki wo ''Jur'at'' hai chain se.
jis bin qaraar ji ko humaare kahi.n nahi.n

ShaeikH Qalandar BaKhsh ''Jur'at''

Comments

Popular Posts