Lazzat e zindagi mubaarak baad !
Kal ki kyaa fikr, har che baadaa baad

aye kHusha zindagi ke pahloo e shauq,
dost ke dum qadam se hai aabaad

bandaa e ishq aah kyaa jaane,
kise kahte hain bandaa e aabaad

dil salaamat hai dard e dil naa sahi,
dard jaataa rahaa ke dard ki yaad?

muD ke dekhaa naa aashiyaa.n ki taraf,
kHoon ho ho ke dil mein rah gayi yaad

kashish e lucknow are taubaa!!
Phir wahi hum wahi ameen aabaad

zeest ke hain yahi maze, wallaah
chaar din shaad, chaar din naashaad

Mirzaa ''Yaas'' ''Yaagaanaa'' Changezi Lucknowi

Comments