main rang e aasmaa.n karke sunhari chhor deta hoon

main rang e aasmaa.n karke sunhari chhor deta hoon
watan ki khaaq lekar ek mutthi chhor deta hoon

ye kya kam hai k haqq'e khudparasti chhor deta hoon
tumaharaa naam aata hai to kursi chhor deta hoon

main roz'e jashn ki tafseel likhkar rakh to leta hoon
magar us jashn ki taarikh khaali chhor deta hoon

buhat mushkil hain mujh se may parasti kaise chhutegi
magar haan aaj se firqa parasti chhor deta hoon

khud apne haath se rasm e vidaai kar to di par ab
koi baaraat aati hai to basti chhor deta hoon

tumhaare wasl ka jis din koi imkaan hota hai
main us din rozaa rakhta hoon buraai chhor deta hoon

huqumat mil gayi to unka kuncha chhut jaaygaa
isi nuqte pe aake baadshaahi chhor deta hoon

mubaarak ho tujhe sad aafri aye shaan'e mehroomi
tere pehlu mein aake ghar gharesthi chhor deta hoon 


 Ahmad Kamaal Parwaazi

Comments

Popular Posts