mastaanaa piye jaa yuu.N hii mastaanaa piye jaa 
paimaanaa to kyaa chiiz hai maiKhaanaa piye jaa 

kar garq may-o-jaam Gam-e-gardish-e-ayyaam 
ab ai dil-e-naakaam tuu maiKhaanaa piye jaa 

may-noshii ke aadaab se aagaah nahii.n tuu 
jis tarah kahe saaqii-e-maiKhaanaa piye jaa 

is bastii me.n hai vahashat-e-mastii hii se hastii 
diivaanaa ban aur baadaa-e-diivaanaa piye jaa 

maiKhaane ke ha.ngaame.n hai.n kuchh der ke mehamaa.N 
hai subah qariib "Akhtar" divaanaa piye jaa 


Akhtar Sheeraani

Comments

Popular Posts