Masti ba zauq e ghaflat e saaqi halaak hai,
mauj e sharaab yak misha e kHwaabnaak hai

juz zaKhm e tegh e naaz, nahi.n dil mein aarzu,
jaib e kHayaal bhi tire haatho.n se chaak hai

josh e junoo.n se kuch nazar aataa nahi.n, Asad
sahraa humaari aankh mein yak musht e kHaak hai

Mirzaa ''Asad'' Ullaah KHaan Ghaalib

Comments

Popular Posts