Meri Jaan, Tujhe Chaahoongaa
Zindagi mein to sabhi pyaar kiyaa karte hain,
main to mar kar bhi meri jaan tujhe chaahoongaa
tu milaa hai, to ye ehsaas hua hai mujhko,
ye meri umr mohabbat ke liye thodi hai
ik zaraa saa ghume dauraa.n ka bhi haq hai jis par,
maine wo saa.ns bhi tere liye rakh chhoDi hai
tujh pe ho jaaoongaa qurbaan, tujhe chaahoongaa
apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye,
maine dhadkan ki tarah dil mein basaayaa hai tujhe
main tasavvur bhi judaai kaa bhalaa kaise karoo.n,
maine qismat ki lakeero.n se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa ban ke nigahbaan,tujhe chaahoongaa
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaa
teri har yaad se jalte hain kHayaalo.n mein charaagh
jab bhi tu aaye jagaataa huaa jaadu aaye
tujhko choo loo.n, to phir se jaane tamanna mujhko
der tak apne badan se teri kHushbu aaye
Tu bahaaro.n kaa hai unwaan, tujhe chaahoongaa

zindagi mein to sabhi pyaar kiyaa karte hain,

Qateel Shifaai

Comments
Post a Comment