Mujhko to gir ke marna hai
Baaqi ko kya karna hai
Shahar hai chehron ki tamseel
Sab ka rang utarna hai
Waqt hai wo naatak jis mein
Sab ko daraa kar darna hai
Mere naqsh e saani ko
Mujh mein hi se ubharna hai
Kaisi talaafi kya tadbeer
Karna hai aur bharna hai
Jo nahin guzra hai ab tak
Wo lamha to guzarna hai
Apne gumaan ka rang tha main
Ab yeh rang bikharna hai
Hum do paaye hain so humein
Mez pe jaakar charna hai
Chahe hum kuchh bhi kar lein
Hum aison ko sudharna hai
Hum tum hain ek lamha ke
Phir bhi waada karna hai
Jaun Elia
Comments
Post a Comment