patthar ke Khudaa vahaa.N bhii paaye
ham chaa.Nd se aaj lauT aaye

diivaare.n to har taraf kha.Dii hai.n
kyaa ho gayaa meharabaa.N saaye

ja.ngal kii havaaye.N aa rahii hai.n
kaaGaz kaa ye shehar u.D na jaaye

lailaa ne nayaa janam liyaa hai
hai Qais koii jo dil lagaaye

hai aaj zamiin kaa gusal-e-sahat
jis dil me.n ho jitanaa Khuun laaye

seharaa seharaa lahuu ke Kheme
phir pyaase lab-e-furaat aaye 





Kaifi Aazmi

Comments

Popular Posts