Phir khulaa hai dar e adaalat e naaz,
garm baazaar e faujdaari hai

Ho rahaa hai jahaan mein andher,
zulf ki phir sarishtaadaari hai

phir diyaa paaraa e jigar ne sawaal,
ek fariyaad o aah o zaari hai

phir hue hain gawaah e ishq talab,
ashk baari ka huqm jaari hai

dil o mishgaa.n kaa j muqaddam thaa,
aaj phir uski roobkaari hai

bekHudi besabab nahi.n ''ghaalib''
kuch to hai, jis ki pardaa daari hai

Mirzaa Ghaalib

Comments

Popular Posts