Phire raah se wo yahaan aate aate,

Phire raah se wo yahaan aate aate,
ajal mar gayi tu kahaa.n aate aate

mujhe yaad karne se ye mud'd'aa thaa,
nikal jaaye dum hichkiyaa.n aate aate
...
Na jaanaa ke duniyaa se jaataa hai koi,
bahut der ki mehrbaa.n aate aate

kalejaa mere munh ko aayegaa ik din,
yun hi lab pe aaho fughaa.n aate aate

sunaane ke qaabil jo thi baat unko,
wahi rah gayi darmyaa.n aate aate

mere aashiyaa.n ke to the chaar tinke
chaman uD gayaa aandhiyaa.n aate aate

banaa hai humeshaa yeh dil baagho sahraa
bahaar aate aate khizaa.n aate aate

nahi.n khel aye ''daagh'' yaaro.n se kah do,
ke aati hai urdu zabaa.n aate aate

Daagh Dahelwi

Comments

Popular Posts