phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n 
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n 

us par haraam hai Gam-e-dauraa.N kii talKhiyaa.N  
jisake nasiib me.n terii zulfo.n ke saaye hai.n 

mahashar me.n le gaii thii tabiyat kii saadagii  
lekin ba.De Khuluus se ham lauT aaye hai.n 

aayaa huu.N yaad baad-e-fanaa unako bhii 'Adam' 
kyaa jald mere siikh pe imaan laaye hai.n
 
 
Abdul Hameed "Adam" 

Comments

Popular Posts