Raqs mein raat hai badan ki tarah,
baarisho.n mein hawaa mein ban ki tarah
chaand bhi meri karwato.n ka gawaah,
mere bistar ki har shikan ki tarah
chaak hai daamane qabaaye bahaar,
mere khwaabo.n ke pairhan ki tarah
zindagi tujhse door rah kar main,
kaat loongi jalaawatan ki tarah
mujhko tasleem, mere chaand! Ke main,
tere humraah hoon gahan ki tarah
baarhaa teraa intizaar kiyaa,
apne khwaabo.n mein ik dulhan ki tarah
Parveen Shaakir
Comments
Post a Comment