roz ki masaafat se choor ho gaye dariyaa
pat-tharo k seeno pe thak k so gaye dariyaa

jaane kaun kaatega fasl laal o gauhar ki
reteeli zameeo.n me sang bo gaye dariyaa

ae suhaab'e gham! kab tak gurezaa.n aankho se
intizaar'e tufaa.n mein khushk ho gaye dariyaa

chaandni se aat ihai kisko dhundne khusboo
saaihlo k phoolo.n ko kabse ro gaye dariyaa

bujh gayi hain kandeele.n khawaab ho gaye chehre
aankho.n k jazeero ko fir dubo gaye dariyaa

dil chattan ki surat sail e gham pe hanstaa hai
jab na ban padaa to kuchh daagh dho gaye dariyaa

zakhm e naamuraadi se hum "Faraaz" zindaa hain
dekhna samandar mein garq ho gaye dariyaa 


Ahmad Faraaz

Comments

Popular Posts