saamaan e tijaarat meraa imaan nahi.n hai
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye
do roz se ghar me.n ko_ii mehmaan nahii.n hai
ham ne to banaaye hai.n samandar me.n bhii raste
yuu.N ham ko miTaana ko_ii aasaan nahii.n hai
jis ko buzurgo.n kii rivaayat na rahe yaad
us shaKhs kii logo.n ko_ii pahachaan nahii.n hai
Comments
Post a Comment