saaqi par ilzaam na aaye
chaahe tujh tak jaam na aaye

tere siva jo ki ho mohabbat
meri jawaani kaam na aye

jin ke liye mar bhi gaye hum
vo chal kar do gaam na aaye

ishq ka saudaa itnaa gara.n hai
inhe hum se kaam na aaye

maykhaane mein sab hi to aaye
lekin "Jigar" ka naam na aaye


Jigar Moradaabadi

Comments

Popular Posts