Saari batein bhool jana fareha
Tha who sab kuchh ik fasaana fareha
Haan mohabbat ek dhoka hi to thee
Ab kabhi dhoka na khaana fareha
Chherh de gar koi mera tazkera
Sunn ke tanzan muskuraana fareha
Meri jo nazmein tumhaare naam hain
Ab unhein mat gungunaana fareha
Tha faqat roohon ke naalon ki shikast
Woh tarannum, woh taraana fareha
Bahas kya karna bhala halaat se
Haarna hai, haar jaana fareha
Saaz o barg e aish ko meri tarah
Tum nazar se mat giraana fareha
Hai shaoor e gham ki ek qeemat magar
Tum yeh qeemat mat chukaana fareha
Zindagi hai fitratan kuchh bad-mizaaj
Zindagi ke naaz uthaana fareha
Peshkash mein phool kar lena qubool
Ab sitaare mat mangaana fareha
Chandd viraane tasawwur mein rahein
Jb nai duniya basaana fareha
Janib e ishrat gah e shehar e bahaar
Ho sake to mil ke jaana fareha
Sochta hoon kis qadar tareek hai
Ab mera baqi zamaana fareha
Sunn raha hoon manzil e ghurbat se door
Baj raha hai shadiyaana fareha
Maujazan pata hyoon main ik sail e rang
Az qafat ta aashiyaana fareha
Ho mubaarak rasm e taqreeb e shabaab
Bar-muraad e khusrawaana fareha
Saj ke woh kaisa laga hoga jo tha
Ek khwaab e shayeraana fareha
Sochta hoon mian, keh mujh ko chahiye
Yeh khushi dil se manaana fareha
Kya hua gar zindagi ki rah mein
Hum nahin shaana ba shaana fareha
Waqt shayad aap apna jabar hai
Us pe kya tohmat lagaaa fareha
Zindagi ik naqsh e by naqqaash hai
Us pe kya ungali uthaana fareha
Kaash ek qanoon hota jo nahin
Zakhm apne kya dikhaana fareha
Kaash kuchh iqdaar hotein jo nahin
Phir bhala dil kya jalaana fareha
Sirf ek jalti hui zulmat hai noor
Taab o tabish par na jaana fareha
Yeh jo sab kuchh hai yeh shayad kuchh nahin
Rog jee ko kya lagaana fareha
Sail hai, bas be-karaan lamhon ka sail
Gharq e sail e be-karaana fareha
Jaun Elia
Jaun ki ye nazm aapko kaisi lagi, humen comment box mein zaroor likhen
ReplyDelete