SainkDo bekaso ko jaan gayaa,
SainkDo bekaso ko jaan gayaa,
par ye teraa na imtehaan gayaa
daaghe hirmaa.n hai kHaak mein bhi saath,
ji gayaa par na ye nishaan gayaa
kal naa aane mein ek yaa.n tere,
aaj sau sau taraf gumaan gayaa
dil se mat jaa ke phir wo pachhtaayaa,
haath se jis ke ye makaan gayaa
koun ji se naa jaayegaa aye ''Meer'',
haif ye hai ke tu jawaan gayaa
Meer Taqi Meer
Comments
Post a Comment