Sang e dar dekh ke sar yaad aayaa

Sang e dar dekh ke sar yaad aayaa,
koi deewaanaa magar yaad aayaa

phir wo andaaz e nazar yaad aayaa,
chaak e dil taab e jigar yaad aayaa

zauq e arbaab e nazar yaad aayaa,
sajdaa be minnat e sar yaad aayaa

har tabassum pe ye khaataa hoon fareb,
ke inhe deeda e tar yaad aayaa

phir tiraa naqsh qadam hai darkaar,
sajdaa e raah guzar yaad aayaa

jam'a kartaa hoon ghubaare rahe dost,
sar e shoreedaa magar yaad aayaa

haaye wo m'ar kae naawake naaz,
dil bachaayaa to jigar yaad aayaa

aainaa ab nahi.n dekhaa jaataa,
main lab'unwaane digar yaad aayaa

dard ko phir hai mire dil ki talaash,
kHaanaa barbaad ko GHar yaad aayaa

is ko bhoole hue to ho ''Faani'',
kya karoge wo agar yaad aayaa

Faani Budaayuni

Comments