subuu ko daur me.n laao bahaar ke din hai.n 
hame.n sharaab pilaao bahaar ke din hai.n 

ye kaam aa_iin-e-ibaadat hai mausam-e-gul me.n 
hame.n gale se lagao bahaar ke din hai.n 

Thahar Thahar ke na baraso uma.D pa.Do yak dam  
sitam_garii se ghaTaao bahaar ke din hai.n 

shikastaa-e-taubaa kaa kab aisaa aayegaa mausam 
"Adam" ko gher ke laao bahaar ke din hai.n 
 
 
Abdul Hameed "Adam" 

Comments

Popular Posts