Taa baa maqdoor intizaar kiyaa,
Taa baa maqdoor intizaar kiyaa,
dil ne ab zor beqaraar kiyaa
dushmani humse ki zamaane ne,
ke jafaakaar tujhsaa yaar kiyaa
ye tawahhum ka kaarkHaana hai,
yaa.n wahi hai jo aitbaar kiyaa
ek naavik ne us ki mizgaa.n se,
taa'ir sad rah tak shikaar kiyaa
sad rage jaa.n ko taab de baaham,
teri zulfo.n ka ek taar kiyaa
hum faqeero.n se beadaayi kyaa,
aan baiThe jo tum ne pyaar kiyaa
sakHt kaafar thaa jin ne pahle ''Meer'',
mazhabe ishq ikHtiyaar kiyaa
Meer Taqi Meer
Comments
Post a Comment