Talismi sarzamee.n hai, jaaney kya ho

Talismi sarzamee.n hai, jaaney kya ho
Yahaa.n kuch bhi nahi.n hai, jaaney kya ho

Ajab hi kuch hai is basti ka andaaz
Kuch andaaza nahi.n hai, jaaney kya ho

Kabhi ek shor uth-ta tha par ab ke
Khmoshi, nukta chee.n hai, jaaney kya ho

Garaan hai ab yahaan jins-e-gumaan bhi
Wo iflaas-e-yaqee.n hai, jaaney kya ho

Juda hain aur nahin taab-e-judaai
Abhi tak dil wahee.n hai, jaaney kya ho

Theher, ashk-e-sar-e-mizsgaan-e-jaanaa.n
Yeh meri aastee.n hai, jaaney kya ho

Yeh hungaam-e-talaatum tha magar dil
Talaatum teh nashee.n hai, jaaney kya ho

Hain kuch qissey yahaan uske siwa bhi
Use aana yahee.n hai, jaaney kya ho

Kisi k mahramon mein dil hamaara
Ibaarat aafree.n hai, jaaney kya ho

Chale to aaye ho tum par meri jaan
Wo dar, ab be-jabee.n hai, jaaney kya ho

Yu.nhi dil subh’o se andohgeeN hai
Bahut andohgee.n hai, jaaney kya ho


Jaun Elia

Comments

Popular Posts