tamannaoN ko zindaa, aarzuoN ko javaaN kar luuN
yah sharmiilii nazar kah de to kuchh gustaaKhiyaan kar luuN

bahaar aaii hai bulbul dard-e-dil kahtii hai phuuloN se
kaho to maiN bhii apnaa dard-e-dil tum se bayaaN kar luuN

hazaaroN shoKh armaaN le rahe haiN chuTkiyaaN dil meN
hayaa inkii ijaazat de to kuchh be-baakiyaaN kar luuN

koii suurat to ho duniyaa-e-faanii meN bahalne kii
Thahar jaa aye javaanii maatam-e-umr-e-ravaaN kar luuN

chaman meN haiN baham parvaana-o-shama-o-gul-o-bulbul
ijaazat ho to maiN bhii haal-e-dil apnaa bayaaN kar luuN

kise maaluum kab kis waqt kis par gir paDe bijlii
abhii se maiN chaman meN chal kar aabaad aashiyaaN kar luuN

mujhe donoN jahaaN meN ek voh mil jaayeN gar Akhtar
to apnii hasratoN ko be-nayaaz-e-do-jahaaN kar luuN


Akhtar Shirani

Comments

Popular Posts