Tasavvar hum ne jab teraa kiyaa pesh e bazar paayaa,
tujhe dekhaa jidhar dekhaa tujhe paayaa jidhar paayaa

kahaa.n hum ne naa us dard e nihaani kaa asar paayaa,
yahaa.n uThaa,wahaa.n chamkaa idhar aayaa udhar paayaa

pataa usne diyaa teraa milaa jo ishq mein kHud gum,
kHabar teri usi se paayi jis ko bekHabar paayaa

dil e be taab ke pahlu se jaate hi gayaa sab kuch
naa paai.n seene mein aahe.n , na aaho.n mein asar paayaa

wo chashm muntazir thi jis ko dekhaa aake waa tum ne,
wo taa''la thaa humaaraa jis ko sote raat bhar paayaa

main hoon wo naatawaa.n pinhaa.n rahaa khud aankh se apni,
humeshaa aap ko gum soorat e taar e nazar paayaa

habeeb apnaa agar dekhaa to daagh e ishq ko dekhaa
tabeeb apnaa agar paayaa to ik dard e jigar paayaa

kiyaa gum hum ne dil ko justju mein daagh hasrat ki,
kisi ko paa ke kho baithe kisi ko dhoondh kar paayaa

bahut se ashk e rangee.n aye ''Jalaal'' is aankh se Tapke,
magar be rang hi dekhaa naa kuch rang e asar paayaa

Zaamin Ali ''Jalaal'' Lucknowi

Comments

Popular Posts