tum ne ye kyaa sitam kiyaa zabt se kaam le liyaa
tark-e-vafaa ke baad bhii meraa salaam le liyaa

ri.ndaa-e-Kharaab-e-naush kii be-adabii to dekhiye

niiyat-e-mayakashii na kii haath me.n jaam le liyaa

sehan-e-chaman me.n daffaatan aake palaT ga_ii bahaar

ahal-e-junuu.N ne Gaaliban aql se kaam leliyaa

naamaa-e-shauq pa.D ke vo kho gaye yak-ba-yak "Shakeel"
muu.Nh se to kuchh na kah sake dil se payaam le liyaa 



Shakeel Budaayuni 

Comments

Popular Posts