tumhari yaad meray dil ka daagh hai lekin
safar k wakt to bey tarha yaad aati ho
baras baras ke aadat ka jab hisaab to phir
buhat satati ho janam, buhat satati ho

main bhol jaon magar kesay bhool jaon bhala
azaab e jaan ki haqeqat ka apna afsana
meray safar k wo lamhy , tumhari pur haali
wo baat baat, mujhy baaar baar samjhana

wo jaun jo nazar aata hai , us ka zikar nahi
tum apnay jaun ka jo tum main hai , bharam rakhna
ajeeb baat hai jo tum say kah rahi hon main
khyaal mera zyada aur apna kam rakhna

meri shikast k zakhmon ke sozish e jawed
nahi raha meray zakhmon ka ab hissab koi
hai ab jo haal mera , wo ajab tamasha hai
mera azaab nahi ab mera azaab koi

nahi koi meri manzil , pe hai safar dar,paish
hai gard gard e abas mujh ko dar ba dar darpaish

Jaun Elia

Comments