Tumse pahle wo jo ik shaKhs yahaa.n takHtnashee.n thaa,
usko bhi apne kHudaa hone pe itnaa hi yaqee.n thaa

koi Thahraa hai jo logo.n ke muqaabil to bataao,
wo kahaan hain ke jinhe naaz bahut apne tai.n thaa
...
aaj soye hain tare khaak naa jaane yahaan kitne
koi sholaa koi shabnam koi mahtaab jabee.n thaa

ab wo phirte hain isi shaher mein tanhaa liye dil ko,
ik zamaane mein mizaaj unkaa sare arshe bari.n thaa

chhoDnaa ghar kaa hume.n yaad hai ''Jaalib'' nahi.n bhoole,
thaa watan zahen mein apne,koi zindaa.n to nahi.n thaa

Habeeb Jaalib

Comments

Popular Posts