us mahjabee.n se aaj mulaaqaat ho gayi
Bedard aasmaan! Ye kya baat ho gayi 

Aawaargaane ishq ka maqsad na poochiye,
paD rahte hain wahi.n pe jahaa.n raat ho gayi

zikre shabe visaal ho kya, qissa mukhtasar,
jis baat se wo darte the wohi baat ho gayi

masjid ko hum chale gaye masti mein jhoomkar,
humse khata ye peere kharaabaat ho gayi

pichle ghumo.n ka zikra hi kya jab wo mil gaye,
aye aasmaa.n, talaafi e maafaat ho gayi

zaahid ko zindagi mein hi kausar chakha diya,
rindo.n se aaj ye bhi karaamaat ho gayi

jhoola jhulaaye.n chal ke haseeno.n ko baagh mein,
gujraat mein suna hai ke barsaat ho gayi

kya faayda ab ''akhtar'' agar paarsa bane,
jab saari umr nazre kharaabaat ho gayi

Akhtar Sheerani

Comments

Popular Posts