Usay apnay fardaa ke fikr thee, wo jo mera waaqif-e-haal tha
wo jo uss ke subh-e-urooj thee, wohi mera waqt-e-zawaal tha
Mera dard kaysay wo jaanta , meri baat kaysay wo maanta
Wo to khud fanaa k safar pay tha, usay rokna bhe muhaal tha
Kahan jaao gy mujhay chhor kr, may yay pooch pooch k thakk gaya
Wo jawab mujh ko na day saka, wo to khud sarapa sawaal tha
Wo jo uss k saamnay aa gaya, wohi roshni may nahaa gaya
Ajab uss ke haybat-e-husn thee, ajab uss ka rob-e-jamaal tha
Dam-e-Waapsi usay kya huwa, na wo roshni na wo chandni
Wo sitaara kaysay bikhar gaya, wo to aap apni misaal tha
Wo mila to sadiyon k baad bhe , meray lub pay koi gila na tha
Usay meri chup nay rula dya, jisay guftugu may kamaal tha
Meray saath lug k wo ro dya, mujhay Fakhri itna wo keh saka
Jisay jaanta tha may zindagi, wo to sirf wehm-o-khayal tha
Zaahid Faakhri
Comments
Post a Comment