vo jo aaye hayaat yaad aayii

vo jo aaye hayaat yaad aayii
bhulii bisrii sii baat yaad aayii

haal-e-dil kah ke jab lauTe
unse kahne kii baat yaad aayii

aapne din banaa diyaa thaa jise
zindagii bhar vo raat yaad aayii

tere dar se uThThe hii the ke hameN
tangii-e-qaaynaat yaad aayii

Khumar Barabankvi

Comments

Popular Posts