waada us maahroo ke aane ka,
ye naseeba siyaahkhaane ka

kah rahi hai nigaahe-duzdeeda,
rukh badalne ko hai zamaane ka

haasile umr hai shabaab magar,
ik yehi waqt hai ga.nwaane ka

chaandni, khamoshi aur aakhire shab,
aa ki hai waqt dil lagaane ka

teri aa.nkho.n ki ho na ho taqseer,
naam ruswaa sharaabkhaane ka

rah gaye banke hum saraapa ghum,
ye nateeja hai dil lagaane ka

jiska har lafz hai saraapa ghum,
main hoon unwaan us fasaane ka

dekhte hain humei.n wo chip chipkar,
parda rah jaaye mu.nh chipaane ka

kar diya khoogare sitam ''akhtar'',
hum pe ehsaan hai zamaane ka



Akhtar Sheeraani

Comments

Popular Posts