Wo jo hum mein tum mein qaraar tha,tumhe yaad ho ke na yaad ho
wahi yaani waadaa nibaah kaa, tumye yaad ho ke naa yaad ho
wo lutf mujh pe the peshter,wo karam ke thaa mere haal par
mujhe sab hai yaad zaraa zaraa tumhe yaad ho ke naa yaad ho
wo naye gile wo shikaayaten,wo maze maze ki hikaayate.n
wo har ek baat pe rooThnaa tumhe yaad ho ke na yaad ho
koi baat aisi agar hui ke tumhaare ji ko buri lagi,
to bayaa.n se pahle hi bolnaa tumhe yaad ho ke naa yaad ho
kabhi hum mein tum mein bhi chaah thi kabhi hum se tum se bhi raah thi,
kabhi hum bhi tum bhi the aashnaa,tumhe yaad ho ke naa yaad ho
wo bigaDnaa wasl ki raat ka,wo na maan naa kisi baat ka
wo nahi.n nahi.n ki har aa.n sadaa,tumhe yaad ho ke naa yaad ho
jise aap ginte the aashnaa jise aap kahte the baawafaa,
main wohi hoon ''momin'' e mubtilaa tumhe yaad ho ke na yaad ho
Hakeem Momin Khaan ''Momin''
Comments
Post a Comment