Yaa rab gham e hijraa.n mein itnaa to kiyaa hotaa,
jo haath jigar par hai wo dast e du'aa hotaa

ik ishq ka ghum aafat aur us pe ye dil aafat,
yaa ghum na diyaa hotaa yaa dil naa diyaa hotaa
...
umeed to bandh jaati, taskeen to ho jaati,
Waadaa na wafaa karte waadaa to kiyaa hotaa

ghairo.n se kahaa tumne, ghairo.n se sunaa tumne
kuch humse kahaa hotaa,kuch humse sunaa hotaa

Chiraagh Hasan ''Hasrat''

Comments

Popular Posts