yaar ko mai.n ne, mujhe yaar ne sone na diyaa 
raat bhar taali'-e-bedaar ne sone na diyaa

ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib 
pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa 
 
raat bhar kii dil-e-betaab ne baate.n mujh se 
mujh ko is ishq ke biimaar ne sone na diyaa 


Haider Ali Aatish

Comments

Popular Posts