Yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko
Magar kya ho gaya hoon aur kya hona tha mujh ko

Abhi ik lehr thi jiss ko guzarna tha saro.n se
Abhi ik lafz tha main aur adaa hona tha mujh ko

Phir is ko dhoondnay mein umr sari beet jati
Koi apni hi ghum-gushta sada hona tha mujh ko

Pasand aaya kissi ko mera aandhi ban ke uthnaa
Kisi ki raaye mein baad-e-saba hona tha mujh ko

Wahan se ab guzar aaya hoon khamoshi se ab ke
Jahan ik shor ki surat bapaa hona tha mujh ko

Dar-O-Deewaar se itni muhabbat kiss liye thi
Agar is qaid khanay se riha hona tha mujh ko

Main apni raakh se bay shak dobara sar uthata
Magar ik baar tau jal kar fana hona tha mujh ko

Main andar se kahin tabdeel hona chahata tha
Purani kainchli mein hi naya hona tha mujh ko

"Zafar", main ho gaya kuch aur, warna asal mein to,
Bura hona tha mujh ko,ya bhala hona tha mujh ko



Zafar Iqbaal

Comments

Popular Posts