Ye na thi humaari qismat ke visaal e yaar hotaa
ye na thi humaari qismat ke visaal e yaar hota
agar aur jeete rahte yahi intzaar hotaa
tere waade par jiye hum to ye jaan jhooT jaana
ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hotaa
teri naazuki se jaana ke bandhaa thaa ahd bodaa
kabhi tu na toD sakta agar ustuwaar hotaa
koi mere dil se pooche tere teer e neemkash ko
yeh kHalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota
ye kahaan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh
koi chaaraasaaz hotaa, koi ghumgusaar hotaa
rag e sang se Tapakta wo lahu ke phir na thamta
jise ghum samajh rahe ho ye agar sharaar hotaa
ghum agarche jaa.n gusil hai pai kahaan bache je dil hai
ghum e ishq gar na hota, ghum e rozgaar hotaa
kahoon kisse main ke kya hai, shab e ghum buri balaa hai
mujhe kyaa buraa thaa marna agar ek baar hotaa
hue mar ke hum jo ruswaa, hue kyun na gharq e daryaa
na kabhi janaaza uthtaa, na kahin mazaar hotaa
use koun dekh sakta, ke yagaana hai wo yaktaa
jo dui ki boo bhi hoti, to kahin dochaar hotaa
ye masaaile tasawwuf, ye teraa bayaan 'Ghaalib'
tujhe hum wali samajhte, jo na baadaakHwaar hotaa
Mirzaa Ghaalib

Comments
Post a Comment