Aaj kisi ne baato.n baato.n mein jab unkaa naam liyaa

Aaj kisi ne baato.n baato.n mein jab unkaa naam liyaa,
dil ne jaise Thokar khaayi, dard ne badh ke thaam liyaa

ghar se daaman jhaaDke nikle, wahshat kaa saamaan naa pooch,
yaa'ni gard e raah se humne rakHt e safar kaa kaam liyaa

deewaaro.n ke saaye saaye umr bitaayi deewaane
muft mein tan aasaani e ghum kaa apne par ilzaam liyaa

raah e talab mein chalte chalte thak ke jab hum choor hue
zulf ki thanDi chhaanw mein baiThe pal do pal aaraam liyaa

Ho.nT jale.n yaa seenaa sulge, koi taras kab khaataa hai,
jaam usi kaa jisne ''taabaa.n'' jur'at se kuch kaam liyaa

Ghulaam Rabbaani ''Taabaa.n''

Comments

Popular Posts