Aib niklaa jo hunar paidaa kiyaa,
Aib niklaa jo hunar paidaa kiyaa,
humne khoyaa, jis qadar paidaa kiyaa
ahl e jannat ko bhi aayaa usse rashk,
jis kisi ne dil mein ghar paidaa kiyaa
sharm hai paidaa kiye ki, uske haath
jisne mujhko behunar paidaa kiyaa
ishq ne kyaa kyaa dikhaaye shobde
dil idhar khoyaa udhar paidaa kiyaa
haay re main, waah, kyaa kahnaa meraa
ranj unko chheD kar paidaa kiyaa
mudd'aa yeh thaa ke hum dekhe.n tujhe
warnaa kyun noor e nazar paidaa kiyaa
jeene detaa jisko ''Daagh'' e rusiyaah
par kHudaa ne dekh kar paidaa kiyaa
Daagh Dahelvi
Comments
Post a Comment