Ajab nahi.n ke phir ik baar main badal jaao.n,

Ajab nahi.n ke phir ik baar main badal jaao.n,
zamee.n se door kahin aur hi nikal jaao.n

puraane waqt kaa sikkaa hoon mujhko phenk naa de,
bure dino.n mein ye mumkin hai main bhi chal jaao.n
...
mujhe nahi.n to kisi aur ko to kaaTegaa
ye saa.np hai to ise maar kar nikal jaao.n

naa kaam aayegaa ye gosht kaa badan ''Alvi''
masheeni daur hai lohe mein kyu.n naa dhal jaao.n

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts