Bahte bahte saare aansu bah gaye,
rote rote aansuwo.n ko ro liyaa

lo tumhaare sar hai meri mansafi,
dil miraa tum ne liyaa, bolo, liyaa

daagh e dil pahlu se yu.n miltaa naa thaa,
aab e kHanjar se dhabbaa dho liyaa

Aaye duniyaa mein to saath aayi ajal,
haaye dushman peeche peeche ho liyaa

ishq ne saughaat wo bakHshi ise,
jisko tum kahte the Faani so liyaa

Faani Budaayuni

Comments

Popular Posts