BaiThe baiThe kaisaa dil ghabraa jaataa hai,

BaiThe baiThe kaisaa dil ghabraa jaataa hai,
jaane waalo.n kaa jaanaa yaad aa jaataa hai

baatcheet mein jiski rawaani masal hui hai,
ek naam lete mein kuch ruk saa jaataa hai

ha.nsti basti raaho.n kaa kHushbaash musaafir,
rozi ki bhaTTi kaa i.ndhan ban jaataa hai

daftar,mansab dono zahn ko khaa lete hain,
ghar waalo.n ki qismat mein tan rah jaataa hai

ab is ghar ki aabaadi mehmaano.n par hai,
koi aa jaaye to waqt guzar jaataa hai

Zohraa Nigaah

Comments

Popular Posts